HealthCareMagic is now Ask A Doctor - 24x7 | https://www.askadoctor24x7.com

Get your health question answered instantly from our pool of 18000+ doctors from over 80 specialties
159 Doctors Online

By proceeding, I accept the Terms and Conditions

Dr. Andrew Rynne
MD
Dr. Andrew Rynne

Family Physician

Exp 50 years

HCM Blog Instant Access to Doctors
HCM BlogQuestions Answered
HCM Blog Satisfaction

Is It Possible To Get Pregnant Without Getting Periods After Delivery Or Is Hpt Showing Error?

Dear sir or madam

Mein 25 years ki hun aur meri delivery Oct 2012 mein huyi tab se mujhe period nahin huye aur aaj subah mene preganews se check kiya to usme posite result aaya means to line to kya ye possible hai ki without period mein pregnant ho sakti hun jabki hamne kabhi koi cheej use nahin ki
Sat, 8 Mar 2014
Report Abuse
OBGYN 's  Response
Namaste main Dr Madhuri hoon aur mai aap ke sawaal ka jawab dungi,

Yadi aap ne koi cheez use nahi ki to pregnancy bilkul ho sakti hai. Delivery ke baad kai dino tak stree ke beej nahi bante kyonki wo bacche ko doodh pila rahi hoti hai. Beej ban ne ke 14 dino baad mahwari aati hai. Yadi beej ban na shuru hua hai aur usi dauran garbh ruk jaaye to mahwari nahi aati par pregnancy hoti hai. Isiliye hum kehte hain ki mahwari ka na aana pregnancy ko nahi rokta. Hamare paas aisi kayi mahilaye aati hain. Yeh bohot hi aam baat hai.

Phir bhi yadi aap ko shak hai to aap phir se test karke dekh sakti hain ya behetar hoga ki aap kisi stree rog visheshagya ke paas jaakar jaanch karvaye aur sonography kare. Yadi pregnancy hogi to usme baccha dikayi dega.

Ummed hai mai aap ke sawaal ka jawab de paayi.

Sawaal ke liye bohot bahot shukriya.
Dr Madhuri Bagde
Stree aur Prasuti rog Visheshagya
I find this answer helpful
Disclaimer: These answers are for your information only and not intended to replace your relationship with your treating physician.
This is a short, free answer. For a more detailed, immediate answer, try our premium service [Sample answer]
Share on
 

Related questions you may be interested in


Loading Online Doctors....
Is It Possible To Get Pregnant Without Getting Periods After Delivery Or Is Hpt Showing Error?

Namaste main Dr Madhuri hoon aur mai aap ke sawaal ka jawab dungi, Yadi aap ne koi cheez use nahi ki to pregnancy bilkul ho sakti hai. Delivery ke baad kai dino tak stree ke beej nahi bante kyonki wo bacche ko doodh pila rahi hoti hai. Beej ban ne ke 14 dino baad mahwari aati hai. Yadi beej ban na shuru hua hai aur usi dauran garbh ruk jaaye to mahwari nahi aati par pregnancy hoti hai. Isiliye hum kehte hain ki mahwari ka na aana pregnancy ko nahi rokta. Hamare paas aisi kayi mahilaye aati hain. Yeh bohot hi aam baat hai. Phir bhi yadi aap ko shak hai to aap phir se test karke dekh sakti hain ya behetar hoga ki aap kisi stree rog visheshagya ke paas jaakar jaanch karvaye aur sonography kare. Yadi pregnancy hogi to usme baccha dikayi dega. Ummed hai mai aap ke sawaal ka jawab de paayi. Sawaal ke liye bohot bahot shukriya. Dr Madhuri Bagde Stree aur Prasuti rog Visheshagya